Friday, September 12, 2008

Being an unwilling witness to a perfectly staged dogfight between students aspiring for posts in our students assoc. CSA, i decided to scribble down my perception of the whole debacle..(in hindi by the way) 

DISCLAIMER: Some resemblance to persons living maybe intentional, but who cares!


NETAGIRI 

Hui yahan pe ek sabha 
hazaron jo ban gaye gawah
ban ke Nagre, Modi aaye
hasa hasa ke khoob rulaye

na jaane inko kya lalchaye
gala phad yeh khoob chillaye
ek toh bas do ungli uthaye
duja bhagwan ke gunn gaye

aaye manch pe kitne bhaiya
lagi ya doobi sabki naiyya
jaane inhone kya hai sikha
samajhe kise bewakoof kahin ka

Gagan tha bhadka, Prithvi soyi
kyun na inko pooche koi
aage bihari babua aaye
bin pooche hi kaate jaye

phir apne tillu ji aaye
yawn-gyan ka mudda uthaye
hui khatam na meri kavita
abhi toh chunana hai humko neta

aa gaye kal saare nateejay
maar raha adhyapak pj
koi na sunta uski baat
janta rahi thi uski kaat

naare laga rahi thi janta
gayab tha woh Modi banda
jeet gaya ek bihari woh
chadha manch pe bin bole jo 

haarne walon ka dekho chehra
sadma laga ho jaise gehra
humko unse kya hai paana
milo toh bas tum jeeb dikhana

sab sadkon pe ghoome saare
baras rahi hon jaise baharein
wazeer bana jab kal ka kaneez
phadi sabne uski kameez 

mujhko kuch aur nahi hai kehna
aur na tumko hai yeh sehna
khatam kar raha hun kavita
khush hun apna bihari jeeta

Powered By Blogger